Shikayat Lyrics in Hindi – AUR

The latest song Shikayat is the most recent song sung by Usama Ali, Ahad Khan and music is composed by Raffey Anwar. Shikayat Lyrics in Hindi are penned by Usama Ali, Ahad Khan. This song is published under the AUR.

Shikayat Lyrics in Hindi - AUR

SONG DETAILS
Song: Shikayat
Singers: Usama Ali, Ahad Khan
Music: Raffey Anwar
Lyrics: Usama Ali, Ahad Khan
Label: AUR

Listen to the song here

Shikayat Lyrics in Hindi – AUR

Zakhm dil pe hain, davaa karo

Aao milke rasmein mohabbat adaa karo

Kuch naa kar sako mere liye, To bas khwabo mein hi mujhse mil liya karo

Aa mil lo kahi mujhse, Ke umeedein kuch hai meri

Tumse na jaane hasrat hi rahi ho tum meri

Ke shayad ye din aakhiri ho, Hum khwahish mein marr jaye

Leke chalo vaha mujhe, Main dekhta hoon aasman mein bhi ab tujhe

Dekha ek roz taara tootke gaya, Maangi bhi duaaein, par haan tu nahi mila

Wo aaya hi nahi, jo ikk dafa gaya

Wo door itna ho gaya, mai dekh na saka

Hai dhoondta wajah, ab dil ye bewajah

Hai toota is tarah se dil, ke fir nahi laga

O mere humnashi, mai ab bhi hoon akela

Ye tu samjha kyu nahi

Wajood dil lagi ki aarzoo nahi

Mohabbat to vahi hai jo ki milti hi nahi

Related: Jawaab Lyrics – Badshah | Gayatri Bhardwaj

Mohabbaton mein jhoom lu, Main kya karu bata

Main muktalha hu gham mein, Ya main gham ki hoon dava

Main baddua hoon, ya duaa hoon, Ya mai hoon saza

Ab tu bata ke main hoon, Ya phir tu hai laapata

Tu Bata…

Laapata ho gaye…Humare liye tum

Itna chaaha ke tum bewafa ho gaye

Jaana bhoolna tha tumhe, khuda ki kasam

Hath jab bhi uthe, tum dhuaa ho gaye

Hothon pe duaa hai, Waqt tham nahi raha

Tu naa mil saka Tu bas nazam nahi raha

Duniya ki mohabbaton ne sab badal diya

Tera gham ajeeb hai, wo vahi ka vahi raha

Bhoolna mai chah raha tha tujhko is tarah

Naa teri jagah koi ho, naa ho tu waha

Ab teri talaash mein pata chala mujhe

Related: In Raahon Mein Lyrics – Arijit Singh | The Archies

Tumse hi shuru hai raat, tumse hi subah

Tu mil gayi to jaan legi zindagi mujhe

Jo tu nahi, to chahiye kuch nahi mujhe

Khwab tu hai, saans tu hi raat tu subah

Kaat dunga zindagi main dekh ke tujhe

Dekh le mujhe, ye kat rahi hai zindagi

Ab dekh ke tujhe, toot hi gaya hoon

Tu samet le mujhe, samet le mujhe

Kahin bikhar na jaau main…

To aao na… Mere aansu ko poocho

Aur phir se rulaao mujhe

Mera sab kuch tere liye

To aao na… dil ki baatein karo

Aur phir se sataao mujhe

Mera sab kuch hai tere liye.

Related: Jaan Denge Tumhe Lyrics | Laqshay Kapoor

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top